Thursday, November 25, 2010

Itna Na Tadpao Mujhe


Itna na tadpao sanam baatee badal badal ke

aur mujh se door na jana rastee badal badal ke


Dhonda hai tum ko maine na jaane kahan kahan

Tum kabhi to nazar aao adayeen badal badal ke 


Meri zindagi hai tum se kahin tum badal na jana

maine zindagi  guzari hai sanam sambhal sambhal ke

 

Tu ne to na kiya kabhi yaad mujhe is tarha

Mai ne raatein guzari hain teri yaad mein karwat

badal badal ke

 

Tum jo juda hoge mujhse ek din  to aye sanam

Sunlo mera janaza jayega phir kaandha badal badal ke


Dewangi mein teri hum ne khud ko be-qaraar kar

rakha hai

Meri zindagi se na jaana sanam kabhi irade badal

badal ke

   

Sochte hain Nazz hum ki ab bhool jayein use

Kyoun ki wo rehta hai ab Aashiyana badal badal ke






.

0 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Followers

Powered by Blogger.
Follow Me on Pinterest Follow smilecampus on Twitter